Paigham-e-Eid - Hafeez Banarsi | पैग़ाम ईद - हफ़ीज़ बनारसी | Eid Special

Paigham-e-Eid - Hafeez Banarsi | पैग़ाम ईद - हफ़ीज़ बनारसी | Eid Special
अपनी आँखों में ख़मिस्तान-ए-मय-ए-नाब लिए
अपने आरिज़ पे बहार-ए-गुल-ए-शादाब लिए

अपने माथे पे दरख़शानी-ए-महताब लिए
निकहत-ओ-रंग लिए नूर का सैलाब लिए

ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए
ज़ुल्फ़ बिखरी है कि रहमत की घटा छाई है

जिस तरफ़ देखिए रानाई ही रानाई है
रहगुज़र काहकशाँ बन के निखर आई है

ज़र्रा ज़र्रा है जमाल-ए-दुर-ए-ख़ुश-आब लिए
ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए

ख़ारज़ारों पे गुलिस्ताँ का गुमाँ है इमरोज़
शिकवा-ए-जौर किसी लब पे कहाँ है इमरोज़

मुल्तफ़ित चश्म-ए-हसीनान-ए-जहाँ है इमरोज़
कितने तस्लीम लिए कितने ही आदाब लिए

ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए
किस क़दर रहमत-ए-साक़ी-ए-अज़ल आम है आज

रक़्स-ए-पैमाना लिए गर्दिश-ए-अय्याम है आज
बादा-ए-कैफ़ से लबरेज़ हर इक जाम है आज

इशरत-ए-रूह ओ सुकून-ए-दिल-ए-बेताब लिए
ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए

दोश-ए-गीती पे परेशाँ हुई फिर ज़ुल्फ़-ए-शमीम
लड़खड़ाती हुई फिरती है गुलिस्ताँ में नसीम

फिर ज़मीं बन गई ग़ैरत-दह-ए-गुलज़ार-ए-नईम
ख़ाक है तख़्ता-ए-गुल बिस्तर-ए-संजाब लिए

ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए
ज़िंदगी रंज-ओ-अलम भूल गई है ऐ दोस्त

महफ़िल-ए-ज़ीस्त ब-सद-शौक़ सजी है ऐ दोस्त
इश्क़ बेगाना-ए-आशुफ़्ता-सरी है ऐ दोस्त

हुस्न है पैरहन-ए-अतलस-ओ-कमख़्वाब लिए
ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए

दर्द-ए-हस्ती की दवा कर लें ख़ुलूस-ए-दिल से
आओ इक फ़र्ज़ अदा कर लें ख़ुलूस-ए-दिल से

आओ तजदीद-ए-वफ़ा कर लें ख़ुलूस-ए-दिल से
जज़्बा-ओ-शौक़-ए-हम-आहंगी-ए-अहबाब लिए

ईद आई है मोहब्बत का नया बाब लिए


-------------


apnī āñkhoñ meñ ḳhamistān-e-mai-e-nāb liye
apne aariz pe bahār-e-gul-e-shādāb liye

apne māthe pe daraḳhshānī-e-mahtāb liye
nik.hat-o-rañg liye nuur kā sailāb liye

iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zulf bikhrī hai ki rahmat kī ghaTā chhā.ī hai

jis taraf dekhiye ra.anā.ī hī ra.anā.ī hai
rahguzar kāhkashāñ ban ke nikhar aa.ī hai

zarra zarra hai jamāl-e-dur-e-ḳhush-āb liye
iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye

ḳhārzāroñ pe gulistāñ kā gumāñ hai imroz
shikva-e-jaur kisī lab pe kahāñ hai imroz

multafit chashm-e-hasīnān-e-jahāñ hai imroz
kitne taslīm liye kitne hī ādāb liye

iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
kis qadar rahmat-e-sāqī-e-azal aam hai aaj

raqs-e-paimāna liye gardish-e-ayyām hai aaj
bāda-e-kaif se labrez har ik jaam hai aaj

ishrat-e-rūh o sukūn-e-dil-e-betāb liye
iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye

dosh-e-gītī pe pareshāñ huī phir zulf-e-shamīm
laḌkhaḌātī huī phirtī hai gulistāñ meñ nasīm

phir zamīñ ban ga.ī ġhairat-dah-e-gulzār-e-na.īm
ḳhaak hai taḳhta-e-gul bistar-e-sanjāb liye

iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye
zindagī rañj-o-alam bhuul ga.ī hai ai dost

mahfil-e-zīst ba-sad-shauq sajī hai ai dost
ishq begāna-e-āshufta-sarī hai ai dost

husn hai pairahan-e-atlas-o-kamḳhvāb liye
iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye

dard-e-hastī kī davā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
aao ik farz adā kar leñ ḳhulūs-e-dil se

aao tajdīd-e-vafā kar leñ ḳhulūs-e-dil se
jazba-o-shauq-e-ham-āhañgī-e-ahbāb liye

iid aa.ī hai mohabbat kā nayā baab liye

Eid Special Playlist by Mahfil : 

Eid Ki Achkan - Syed Mohammad Jafri | ईद की अचकन - सय्यद मोहम्मद जाफरी 
Paigham-e-Eid - Hafeez Banarsi | पैग़ाम ईद - हफ़ीज़ बनारसी 
Eid Milan - Nazeer Banarasi | ईद मिलान - नजीर बनारसी 
Eid Ghazal By Nazeer Akbarabadi | ईद के मौके पर नजीक अकबराबादी की नज्में - २
Eid Ghazal By Nazeer Akbarabaadi | ईद के मौके पर नजीक अकबराबादी की नज्में - १
Eid Special Shayari | ईद की शायरी
Eid Mubarak - Kedarnath Agarwal
Eid Ul Fitr-Nazeer Akbaraabadi | ईद उल फ़ितर | नज़ीर अकबराबादी
Eid Ke Din Gale Mil Le Raja Song Lyrics - Teesri Aankh |
Eid Mubarak Song Lyrics - Daddy
Mera Sona Sajan Ghar Aaya Song Lyrics - Dil Pardesi Ho Gaya | Eid Special
Chand Nazar Aa Gaya Song Lyrics | Eid Special Song 
Mubarak Eid Mubarak Song Lyrics| Eid Special Song 
Kun Faya Kun Song Lyrics - Rockstar 
Arziyan Song Lyrics - Delhi 6

No comments:

Post a Comment

We do our best to provide you with the correct lyrics. However, Sometimes we make mistakes. So If you find any mistake in the lyrics, Please let us know in the comment.