Meri Khamoshi Hai Lyrics | Pari | Anushka Sharma & Parambrata Chatterjee | Ishan Mitra | Anupam Roy

Meri Khamoshi Hai Lyrics | Pari | Anushka Sharma & Parambrata Chatterjee | Ishan Mitra | Anupam Roy
Song: Meri Khamoshi
Movie: Pari
Singer: Ishan Mitra
Music: Anupam Roy
Lyrics: Anvita Dutt

Meri Khamoshi Hai Lyrics

Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatooni meri khamoshi hai

Jalte bujhte harf hain jo
Hothon pe ye barf kyun ho’n
Inn sawaalon ka tu jawaab hai
Sun zara…
(harf: word)

Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatooni meri khamoshi hai

Dil tera chakore sa bhaga kyun hai
Chand bagal mein tera
Kandhon pe ye khwab aisa ladaa kyun
Takiye pe rakh toh zara

Chhupe hain jo dil ke
Suraag dikha doon tujhe

Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatooni meri khamoshi hai

Dil ke bichhaune jo thhe kore kore
Rang se khilne lage
Khwab ke bageeche dhaaga dhaaga chune
Fursat se silne lage

Kahaan se ye seekha?
Hunar bata dil mere…

Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatooni meri khamoshi hai

Jalte bujhte harf hain jo
Hothon pe ye barf kyun ho’n
Inn sawaalon ka tu jawaab hai
Sun zara…

Tere hi zikr ki jasoosi
Meri khamoshi hai
Rahoon main chup kyun
Baatooni meri khamoshi hai

No comments:

Post a Comment

We do our best to provide you with the correct lyrics. However, Sometimes we make mistakes. So If you find any mistake in the lyrics, Please let us know in the comment.