Shama Hai Jali | Sanam - Official Music Video (Independence Day Special)

Shama Hai Jali is an excellent song comming from the band Sanam. Lyrics of Shama Hai jali is penned by Siddhant Kaushal and sung by Sanam Puri. This song is dedicated to the country on the ocassion of Independence Day. 
Shama Hai Jali | Sanam - Official Music Video (Independence Day Special)
Sanam Puri - Vocals
Samar Puri - Guitars
Venky S - Bass
Keshav Dhanraj - Drums
Lyrics - Siddhant Kaushal

Shama Hai Jali Lyrics - Sanam 

Dhoop ne likha khidkiyon pe kal,
Sab paheliyon ka sahi se hal..
Kayi aandhiyon se tha apna waasta,
Jinki wajah se tha, dhundhla raasta..

Lehar seene mein uth rahi hai Ik aag ki abhi,
Sehar aane waali nayi hai umeed se bhari..

Ungliyaan uthate hain kyun bhala,
Doosron pe khud pe naa hum yahaan ..

Jazbaa ragon mein honey laga rawaan,
Pahunchega har disha apna yeh jahaan..

(Chorus)
Shama hai Jali,
Dilon mein abhi ..
Shama hai Jali,
Bujhey na kabhi ..

Zameen
Junoon
Ho..
Yahi sukoon Ho..

Zameen
Junoon
Ho ..

2nd verse -

Darr se haar kar tootey
Jo agar Dil ka haunsla..
Yaad karna phir ghutno
Se hi uth ke tha tu chala..

Badh ne laga hai sooraj yeh soch ka,
Pahunchega har disha apna yeh jahaan..

(Chorus)
Shama hai Jali,
Dilon mein abhi ..
Shama hai Jali,
Bujhey na kabhi ..

No comments:

Post a Comment

We do our best to provide you with the correct lyrics. However, Sometimes we make mistakes. So If you find any mistake in the lyrics, Please let us know in the comment.