Ghut Gaya Andhere Ka Aaj Dum Akele Mein | Nazeer Banarsi

A very classic and old ghazal by Nazeer Banarsi on the ocassion of Diwali.

Ghut Gaya Andhere Ka Aaj Dum Akele Mein 

घुट गया अँधेरे का आज दम अकेले में
हर नज़र टहलती है रौशनी के मेले में

आज ढूँढने पर भी मिल सकी न तारीकी
मौत खो गई शायद ज़िंदगी के रेले में

इस तरह से हँसती हैं आज दीप-मालाएँ
शोख़ियाँ करें जैसे साथ मिल के बालाएँ

हर गली नई दुल्हन हर सड़क हसीना है
हर देहात अँगूठी है हर नगर नगीना है

पड़ गई है ख़तरे में आज यम की यमराजी
मौत के भी माथे पर मौत का पसीना है

रात के करूँ मैं है आज रात का कंगन
इक सुहागनी बन कर छाई जाती है जोगन

क़ुमक़ुमे जले घर घर रौशनी है पट पट पर
ले के कोई मंगल-घट छा गया है घट घट पर

रौशनी करो लेकिन फ़र्ज़ पर न आँच आए
हो निगाह सीमा पर और कान आहट पर

होशियार उन से भी जो निगाह फेरे हैं
पाक ही नहीं तन्हा और भी लुटेरे हैं

छोड़ अपनी नापाकी या बदल दे अपनी धुन
मौत लेगा या जीवन दो में जिस को चाहे चुन

हम हैं कृष्ण की लीला हम हैं वीर भारत के
हम नकुल हैं हम सहदेव हम हैं भीम हम अर्जुन

द्रोपदी से दुर्घटना दूर कर के छोड़ेंगे
ऐ समय के दुर्योधन चूर कर के छोड़ेंगे

क़ब्र हो समाधी हो सब को जगमगाएँगे
धूम से शहीदों का सोग हम मनाएँगे

तुम से काम लेना है हम को दीप-मालाओ
सारे दीप की लौ से दिल की लौ बढ़ाएँगे

सब से गर्मियाँ ले कर सीने में छुपाना है
दिल को इस दिवाली से अग्नी बम बनाना है

Ghut Gaya Andhere Ka Aaj Dum Akele Mein - English Font

ghuT gayā añdhere kā aaj dam akele meñ
har nazar Tahaltī hai raushnī ke mele meñ

aaj DhūñDhne par bhī mil sakī na tārīkī
maut kho ga.ī shāyad zindagī ke rele meñ

is tarah se hañstī haiñ aaj dīp-mālā.eñ
shoḳhiyāñ kareñ jaise saath mil ke bālā.eñ

har galī na.ī dulhan har saḌak hasīna hai
har dehāt añgūThī hai har nagar nagīna hai

paḌ ga.ī hai ḳhatre meñ aaj yam kī yamrājī
maut ke bhī māthe par maut kā pasīna hai

raat ke karūñ maiñ hai aaj raat kā kañgan
ik suhāganī ban kar chhā.ī jaatī hai jogan

qumqume jale ghar ghar raushnī hai paT paT par
le ke koī mañgal-ghaT chhā gayā hai ghaT ghaT par

raushnī karo lekin farz par na aañch aa.e
ho nigāh siimā par aur kaan aahaT par

hoshiyār un se bhī jo nigāh phere haiñ
paak hī nahīñ tanhā aur bhī luTere haiñ

chhoḌ apnī nāpākī yā badal de apnī dhun
maut legā yā jīvan do meñ jis ko chāhe chun

ham haiñ krishn kī liilā ham haiñ viir bhārat ke
ham nakul haiñ ham sahdev ham haiñ bhiim ham arjun

daropdī se durghaTnā duur kar ke chhoḌeñge
ai samay ke duryodhan chuur kar ke chhoḌeñge

qabr ho samādhī ho sab ko jagmagā.eñge
dhuum se shahīdoñ kā sog ham manāeñge

tum se kaam lenā hai ham ko dīp-mālāo
saare diip kī lau se dil kī lau baḌhā.eñge

sab se garmiyāñ le kar siine meñ chhupānā hai
dil ko is divālī se agnī bam banānā hai 

No comments:

Post a Comment

We do our best to provide you with the correct lyrics. However, Sometimes we make mistakes. So If you find any mistake in the lyrics, Please let us know in the comment.