Tumhari Raah Mein Mitti Ke Ghar Nahi Aate | Waseem Barelvi

तुम्हारी राह में मिट्टी के घर नहीं आते
इसीलिए तो तुम्हें हम नज़र नहीं आते

मुहब्बतों के दिनों की यही ख़राबी है
ये रूठ जाएँ तो फिर लौटकर नहीं आते

जिन्हें सलीका है तहज़ीब-ए-ग़म समझने का
उन्हीं के रोने में आँसू नज़र नहीं आते

ख़ुशी की आँख में आँसू की भी जगह रखना
बुरे ज़माने कभी पूछकर नहीं आते

बिसाते -इश्क पे बढ़ना किसे नहीं आता
यह और बात कि बचने के घर नहीं आते

‘वसीम’ जहन बनाते हैं तो वही अख़बार
जो ले के एक भी अच्छी ख़बर नहीं आते

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Tumhari Raah Mein Mitti Ke Ghar Nahi Aate
Isliye To Tumhe Hum Nazar Nahi Aate

Mohabbat Ke Dino Ki Yahi Kharabi Hai
Yeh Rooth Jaye To Phir Lautkar Nahi Aate

Jinhe Saleeka Hai Tehzeeb-E-Gham Samjhne Ka
Unhi Ke Rone Mein Aansoo Nazar Nahi Aate

Khushi Ki Aankh Mein Aansoo Ki Bhi Jagah Rakhna
Bure Zamane Kabhi Poochkar Nahi Aate

Bisaat-E-Ishq Pe Badhna Kise Nahi Aata
Yah Aur Baat Ki Bachne Ke Ghar Nahi Aate

‘Wasim’ Zehan Banate Hai To Wahi Akhbaar
Jo Le Ke Ek Bhi Acchi Khabar Nahi Aate

No comments:

Post a Comment

We do our best to provide you with the correct lyrics. However, Sometimes we make mistakes. So If you find any mistake in the lyrics, Please let us know in the comment.